Subah ke waqt yoga karna sadharantaha achcha mana jata hai kyon ki us waqt aap shant hote hai. Apki urjashakti sabse jyada hoti hai aur use pure din vaisi hi rakhne ke liye sahayta karta hai. Aap koi bhi waqt nishchit kar sakte he. Ya to sabere jaldi, dopahar ke khane se pahale ya phir sham ko.
Agar apka khud ka chotasa room hai to achcha hai. Agar ye sambhav na ho to aap ghar me koi bhi shant jagah nishchit kare jo lagbhag itni ho ki aap vaha par aapki yoga chatai bichakar ghum sake aur apko pareshni na ho aur wo jagah saaf ho, hawadar ho aur koi bhi lohe ki chij jo lag sakti hai usse dur ho.
Yoga khali pet karna hi achcha hota hai. Aap yogasan khana khane ke 2-3 ghante baad bhi kar sakte ho. Kyon ki aisa ho sakta hai ki aap ko aaj koi alag yoga karne the ya phir aap kuch yagasan karna bhul gaye aur khana khan ke baad aapko yaad aaye to aap sochte hai chalo ab kar leta hu kuch nahi hota, per aise bilkul mat kijiye. Agar koi yogasan rah jaye to dusre din karle.
Dhile aur aramdayi kapdon per yoga asani se ker sakte hai. Tight kapdon per yogasan karana mushkil hai. Apke mehange ratna (jewelry) bagal me rakh de. Aur bhari makeup ko tale. Makeup tale matlab hamesha ke liye nahi sirf yoga karte waqt.
Yoga ka abhyas har roz karna bahot jaruri hai, ise apni rozmarra ki zindagi ka hissa banale aur uske baad ye apki achchi si aadat ho jayegi. Hamesha yaad rakhe 1-2 gante kadi mehnat karne se apko jo natije milte hai usse sakaratmak (positive) natije din me sirf 20 min yogasan ka abhyas karne se milte hai.
Apne sharir ko samman de aur har yogasan ko narmi aur haste hue kare. Bahut jor se yoga karne se ya phir jaidi jaldi karne se iske fayde aapko jadi honge aisa nahi hai. Isse aap sirf apna kathnai aur dard badha lenge.
Tarah tarah ke yogasan aur shawasan prakriya kare. Is ke liye saral upay hai, aap har roz 2-3 tarah ke yogasan kare aur Sunday ko sab eksath kare. Yoga agar parivar ya doston ke saath ho to aur bhi achcha, kyon ki isse aap akele karte hue boar bhi nahi honge aur aap apne parivar aur doston ke saath kuch achcha waqt bhi bita payenge.